qufl khulenge aur magarmachhon ka munh khul jaega
qufl khuleñge aur magarmachhoñ kā muñh khul jā.egā
kyā mā'lūm is dil ke ġhaar se kyā kyā sāmne aa.egā
dil kī javānī Dhal jā.egī ret apne thal jā.egī
aur hamārā 'aks fazā meñ surḳh dhuāñ ban jā.egā
dīvāroñ ke biich paḌī hai band darīche kī tasvīr
soch rahā huuñ is kamre meñ chor kahāñ se aa.egā
tum ne merī gun dekhī hai aur bullet se vāqif ho
us kā zikr zabāñ par laao aaj pata chal jā.egā
tīr-andāzī karte karte sab ko niiñd aa jā.egī
aur sipah-sālār kā beTā tension se mar jā.egā
qufl khulenge aur magarmachhon ka munh khul jaega
kya ma'lum is dil ke ghaar se kya kya samne aaega
dil ki jawani Dhal jaegi ret apne thal jaegi
aur hamara 'aks faza mein surKH dhuan ban jaega
diwaron ke bich paDi hai band dariche ki taswir
soch raha hun is kamre mein chor kahan se aaega
tum ne meri gun dekhi hai aur bullet se waqif ho
us ka zikr zaban par lao aaj pata chal jaega
tir-andazi karte karte sab ko nind aa jaegi
aur sipah-salar ka beTa tension se mar jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.