Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamara sajan KHush-nazar baz hai

Quli Qutub Shah

hamara sajan KHush-nazar baz hai

Quli Qutub Shah

MORE BYQuli Qutub Shah

    hamārā sajan ḳhush-nazar baaz hai

    to us dil meñ sab ishq raaz hai

    gale haath de khele nāriyāñ suuñ khel

    jisūñ khele piiv uu sar-afrāz hai

    adhar rañg bhare suhte mānik naman

    ki yāqūt rañg un the varsāz hai

    skyāñ sā.īñ chhand suuñ pañvā.e apas

    tuman husn ke tiiñ so uu naaz hai

    sañvāre haiñ majlis piyā ruup suuñ

    madan mutrib us meñ ḳhush-āvāz hai

    sañvāñryā hai man-mohniyāñ apne tiiñ

    piyā kuuñ ainū suuñ turuk taaz hai

    nabī sadqe 'qubtā' pe ānand-dār

    alī mayā the sadā baaz hai

    hamara sajan KHush-nazar baz hai

    to us dil mein sab ishq ka raaz hai

    gale hath de khele nariyan sun khel

    jisun khele piw u sar-afraaz hai

    adhar rang bhare suhte manik naman

    ki yaqut rang un the warsaz hai

    skyan sain chhand sun panwae apas

    tuman husn ke tin so u naz hai

    sanware hain majlis piya rup sun

    madan mutrib us mein KHush-awaz hai

    sanwanrya hai man-mohniyan apne tin

    piya kun ainu sun turuk taz hai

    nabi sadqe 'qubta' pe aanand-dar

    ali ki maya the sada baz hai

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now