Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHabar liyaya hai hudhud mere tain us yar-e-jaani ka

Quli Qutub Shah

KHabar liyaya hai hudhud mere tain us yar-e-jaani ka

Quli Qutub Shah

MORE BYQuli Qutub Shah

    ḳhabar liyāyā hai hudhud mere ta.iiñ us yār-e-jānī

    ḳhushī vaqt hai zāhir karūñ rāz-e-nihānī

    mire jiiv aarsī meñ ḳhayāl tuj mukh so distā hai

    kare uu ḳhayāl munj dil meñ nishānī zar-fishānī

    chitā ho ishq ke jañgal meñ baiThā hai darī le kar

    liyā hai jhāñp suuñ aahū naman dil munj āyānī

    ḳhudā shukr hai tuj saltanat the kaam paayā huuñ

    dannade dushman ke mukh par piyūtā mai arġhavānī

    chhabīle mast saaqī ke pichheñ dauḌe sau maḳhmūrāñ

    pilāo mai havā ab to huā hai gul-fishānī

    hameñ haiñ ishq ke pannath meñ dono aalam the be-parvā

    lagyā hai daaġh munj dil par us hindostānī

    paḌe dumbāl meñ mere so us naināñ ke dumbāle

    ḳhudāyā ishq mushkil hai bharam rakh tuuñ ma.ānī

    KHabar liyaya hai hudhud mere tain us yar-e-jaani ka

    KHushi ka waqt hai zahir karun raaz-e-nihani ka

    mere jiw aarsi mein KHayal tuj mukh ka so dista hai

    kare u KHayal munj dil mein nishani zar-fishani ka

    chita ho ishq ke jangal mein baiTha hai dari le kar

    liya hai jhanp sun aahu naman dil munj aayani ka

    KHuda ka shukr hai tuj saltanat the kaam paya hun

    dannade dushman ke mukh par piyuta mai arghawani ka

    chhabile mast saqi ke pichhen dauDe sau maKHmuran

    pilao mai hawa ab to hua hai gul-fishani ka

    hamein hain ishq ke pannath mein dono aalam the be-parwa

    lagya hai dagh munj dil par us hindostani ka

    paDe dumbaal mein mere so us nainan ke dumbaale

    KHudaya ishq mushkil hai bharam rakh tun maani ka

    RECITATIONS

    Raoof Khair

    Raoof Khair,

    Raoof Khair

    KHabar liyaya hai hudhud mere tain us yar-e-jaani ka Raoof Khair

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now