pyari ke nainan hain jaise kaTare
pyārī ke naināñ haiñ jaise kaTāre
na sam us ke añge koī haiñ do dhāre
asar tuj mohabbat kā jis kuuñ chaḌegā
tire laal bin us kuuñ koī na utāre
do lochan haiñ tere nisañg chor rāvat
o no suuñ dilerī na kar sab hī haare
suhātā hai tuj kuuñ gumāñ hor ġhurūrī
ki maate aheñ tuj husn ke pyāre
sikyāñ meñ tū hai mirg-nainī chhabelī
sajan tū nahīñ hote tuj the kināre
ajab chapḳhalā.ī hai terī nayan meñ
ki khanjan naman ek til ka.iin na Thāre
nabī sadqe 'qubtā' suuñ mad piive jam-jam
vo chand mukh ki jis mukh the juutī sñgāre
pyari ke nainan hain jaise kaTare
na sam us ke ange koi hain do dhaare
asar tuj mohabbat ka jis kun chaDega
tere lal bin us kun koi na utare
do lochan hain tere nisang chor rawat
o no sun dileri na kar sab hi haare
suhata hai tuj kun guman hor ghururi
ki mate ahen tuj husn ke pyare
sikyan mein tu hai mirg-naini chhabeli
sajan tu nahin hote tuj the kinare
ajab chapKHalai hai teri nayan mein
ki khanjan naman ek til kain na Thaare
nabi sadqe 'qubta' sun mad piwe jam-jam
wo chand mukh ki jis mukh the juti sngare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.