Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tuman raushni bin haman raushni nah

Quli Qutub Shah

tuman raushni bin haman raushni nah

Quli Qutub Shah

MORE BYQuli Qutub Shah

    tuman raushnī bin haman raushnī naah

    dīdār bin sabhī dīdār haiñ kaah

    sabhī jhaaḌ kuuñ pat-jhaḌī baav aayā

    chakar khāñs par hai nazar disūñ shaah

    tuman ḳhyāl setī hameñ ḳhyāl bāñdhe

    raqībāñ na būjheñ ye baat aah hai aah

    namāzāñ karūñ raat din malne kyaañ maiñ

    havā munj kuuñ rozī zulhamdulillah

    añdhār.e ke bādal munje beḌī chau-pahr

    ḳhudāyā bhejeñ haman bād-e-dil-ḳhvāh

    katā sabr fariyād kar chup na rah tuuñ

    karūñ aah ā.hāñ tuuñ niiñ hotā āgāh

    huā be-qarār aah ā.hāñ te maiñ ab

    nazar bā-muñj upar dasūñgā ki jiyūñ maah

    karegā agar yaad vo munj dukhī kuuñ

    karūñ yaad agar kis kuuñ astaġhfirullah

    'ma.ānī' hai aajiz tirī ḳhidmatāñ meñ

    nahīñ sud-bud us kuuñ tuuñ kar sab the āgāh

    tuman raushni bin haman raushni nah

    tu didar bin sabhi didar hain kah

    sabhi jhaD kun pat-jhaDi baw aaya

    chakar khans par hai nazar tu disun shah

    tuman KHyal seti hamein KHyal bandhe

    raqiban na bujhen ye baat aah hai aah

    namazan karun raat din malne kyan main

    hawa munj kun rozi zulhamdulillah

    andhaare ke baadal munje beDi chau-pahr

    KHudaya tu bhejen haman baad-e-dil-KHwah

    kata sabr fariyaad kar chup na rah tun

    karun aah aahan tun nin hota aagah

    hua be-qarar aah aahan te main ab

    nazar ba-munj upar dasunga ki jiyun mah

    karega agar yaad wo munj dukhi kun

    karun yaad agar kis kun astaghfirullah

    'maani' hai aajiz teri KHidmatan mein

    nahin sud-bud us kun tun kar sab the aagah

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now