qurb us ka dil-e-zar ko taDpae hai kuchh aur
qurb us kā dil-e-zār ko taḌpā.e hai kuchh aur
hai dard vo darmāñ se jo baḌh jaa.e hai kuchh aur
kyā hai ye tilismāt jahāñ aql hai sardār
hai asl meñ kuchh aur nazar aa.e hai kuchh aur
sard aahoñ se mazlūmoñ kī taḌpe hai dil-e-zār
chalne se huā ġhuncha ye murjhā.e hai kuchh aur
lazzat tirī shīrīñ-suḳhanī meñ bhī hai lekin
dil talḳhī-e-daurāñ meñ mazā paa.e hai kuchh aur
bas kar nigah-e-nāz tirī taab nahīñ ab
ye lutf dil-e-zār ko taḌpā.e hai kuchh aur
shorīdgī-e-dil kā hai aalam hī nirālā
rang ab kī bahārāñ meñ junūñ laa.e hai kuchh aur
baḌhtā hai junūñ vādī-e-ulfat meñ ziyāda
is dasht meñ talvā mirā khujlā.e hai kuchh aur
is par bhī kabhī hogī nigāh-e-karam-e-yār
dil us ke tasavvur se hī itrā.e hai kuchh aur
aksar nigah-e-qahr ke sadme sahe lekin
terī nigah-e-lutf sitam Dhaa.e hai kuchh aur
uqda na haqīqat kā khule dast-e-ḳhirad se
suljhāne se gutthī ye ulajh jaa.e hai kuchh aur
jitnī use bahlāne kī karte haiñ sa.ī log
dil apnā 'valī' utnā hī ghabrā.e hai kuchh aur
qurb us ka dil-e-zar ko taDpae hai kuchh aur
hai dard wo darman se jo baDh jae hai kuchh aur
kya hai ye tilismat jahan aql hai sardar
hai asl mein kuchh aur nazar aae hai kuchh aur
sard aahon se mazlumon ki taDpe hai dil-e-zar
chalne se hua ghuncha ye murjhae hai kuchh aur
lazzat teri shirin-suKHani mein bhi hai lekin
dil talKHi-e-dauran mein maza pae hai kuchh aur
bas kar nigah-e-naz teri tab nahin ab
ye lutf dil-e-zar ko taDpae hai kuchh aur
shoridgi-e-dil ka hai aalam hi nirala
rang ab ki bahaaran mein junun lae hai kuchh aur
baDhta hai junun wadi-e-ulfat mein ziyaada
is dasht mein talwa mera khujlae hai kuchh aur
is par bhi kabhi hogi nigah-e-karam-e-yar
dil us ke tasawwur se hi itrae hai kuchh aur
aksar nigah-e-qahr ke sadme sahe lekin
teri nigah-e-lutf sitam Dhae hai kuchh aur
uqda na haqiqat ka khule dast-e-KHirad se
suljhane se gutthi ye ulajh jae hai kuchh aur
jitni use bahlane ki karte hain sai log
dil apna 'wali' utna hi ghabrae hai kuchh aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.