qurbān hai sau jaan se tum par gila kaisā
dekho to mire dil ne kiyā hausla kaisā
hotā hai magar qaid koī aap kā vahshī
suniye to hai zindāñ kī taraf ġhalġhala kaisā
haañ shiddat-e-dard-e-jigarī bazm meñ laa.ī
dil mar gayā ai dost to phir valvala kaisā
tū ne to kahā hai maiñ rag-e-jāñ se qarīñ huuñ
aur hijr kā hai qaul ki ye fāsla kaisā
mar jā.egā pāband-e-vafā zulm na chhoḌo
maiñ qissa-e-dil kahtā huuñ ai jaañ gila kaisā
qurban hai sau jaan se tum par gila kaisa
dekho to mere dil ne kiya hausla kaisa
hota hai magar qaid koi aap ka wahshi
suniye to hai zindan ki taraf ghalghala kaisa
han shiddat-e-dard-e-jigari bazm mein lai
dil mar gaya ai dost to phir walwala kaisa
tu ne to kaha hai main rag-e-jaan se qarin hun
aur hijr ka hai qaul ki ye fasla kaisa
mar jaega paband-e-wafa zulm na chhoDo
main qissa-e-dil kahta hun ai jaan gila kaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.