qurban ho rahi hai meri jaan idhar-udhar
qurbān ho rahī hai mirī jaañ idhar-udhar
vaañ rah pe hai jo zulf-e-pareshāñ idhar-udhar
jaate haiñ jab vo sū-e-chaman sair ke liye
hote haiñ saath āshiq-e-nālāñ idhar-udhar
haiñ laḳht-e-dil kahīñ to kahīñ pāra-e-jigar
rahte haiñ pesh-e-chashm-e-gulistāñ idhar-udhar
hañgāma-e-junūñ se jo donoñ hue haiñ chaak
dāman idhar-udhar hai garebāñ idhar-udhar
zulfeñ chhuTī huī haiñ jo chehre pe do taraf
lahrā rahe haiñ af.ī-e-pechāñ idhar-udhar
dekhā unhoñ ne murda mujhe maiñ ne ashk-bār
aa.e nazar haiñ ḳhvāb-e-pareshāñ idhar-udhar
yā dushmanoñ se qat.a ho yā mujh se tark-e-rabt
kyuuñ dil ko kar rahe ho mirī jaañ idhar-udhar
mutrib vahāñ haiñ jam.a navā-sāz us taraf
hote haiñ kal se aish ke sāmāñ idhar-udhar
kyuuñ kar karūñ maiñ baat chap-o-rāst-e-yār kī
rahte haiñ saath saath nigahbāñ idhar-udhar
vo apnī haT pe haiñ mujhe apne kahe kī zid
samjhā rahe haiñ donoñ ko insāñ idhar-udhar
āñkhoñ pe sā.ebāñ haiñ maze diid ke hoñ kyā
phaile hue haiñ dāman-e-mizhgāñ idhar-udhar
vo but hai maiñ huuñ sāhib-e-dīñ bahr-e-faisla
hote haiñ jam.a gabr-o-musalmāñ idhar-udhar
vo chāhte haiñ aa.eñ maiñ kahtā huuñ aap jā.ūñ
kis lutf par hai raġhbat-e-ehsāñ idhar-udhar
nālāñ vo aqrabā se maiñ huuñ muḳhbiroñ se tañg
kis kis tarah ke dil meñ haiñ armāñ idhar-udhar
harjā.ī un ko kahte haiñ be-sharm mujh ko log
uThte haiñ rāt-din yahī tūfāñ idhar-udhar
manzūr hai jo ranjish-e-sābiq kā faisla
har roz jam.a hote haiñ mehmāñ idhar-udhar
haiñ pahluoñ meñ daaġh jo donoñ taraf 'nasīm'
jalva dikhā rahe haiñ gulistāñ idhar-udhar
qurban ho rahi hai meri jaan idhar-udhar
wan rah pe hai jo zulf-e-pareshan idhar-udhar
jate hain jab wo su-e-chaman sair ke liye
hote hain sath aashiq-e-nalan idhar-udhar
hain laKHt-e-dil kahin to kahin para-e-jigar
rahte hain pesh-e-chashm-e-gulistan idhar-udhar
hangama-e-junun se jo donon hue hain chaak
daman idhar-udhar hai gareban idhar-udhar
zulfen chhuTi hui hain jo chehre pe do taraf
lahra rahe hain afi-e-pechan idhar-udhar
dekha unhon ne murda mujhe main ne ashk-bar
aae nazar hain KHwab-e-pareshan idhar-udhar
ya dushmanon se qata ho ya mujh se tark-e-rabt
kyun dil ko kar rahe ho meri jaan idhar-udhar
mutrib wahan hain jama nawa-saz us taraf
hote hain kal se aish ke saman idhar-udhar
kyun kar karun main baat chap-o-rast-e-yar ki
rahte hain sath sath nigahban idhar-udhar
wo apni haT pe hain mujhe apne kahe ki zid
samjha rahe hain donon ko insan idhar-udhar
aankhon pe saeban hain maze did ke hon kya
phaile hue hain daman-e-mizhgan idhar-udhar
wo but hai main hun sahib-e-din bahr-e-faisla
hote hain jama gabr-o-musalman idhar-udhar
wo chahte hain aaen main kahta hun aap jaun
kis lutf par hai raghbat-e-ehsan idhar-udhar
nalan wo aqraba se main hun muKHbiron se tang
kis kis tarah ke dil mein hain arman idhar-udhar
harjai un ko kahte hain be-sharm mujh ko log
uThte hain raat-din yahi tufan idhar-udhar
manzur hai jo ranjish-e-sabiq ka faisla
har roz jama hote hain mehman idhar-udhar
hain pahluon mein dagh jo donon taraf 'nasim'
jalwa dikha rahe hain gulistan idhar-udhar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.