qurbaton mein kho gaya ki faslon mein kho gaya
qurbaton mein kho gaya ki faslon mein kho gaya
Muhammad Atiq Ahmad
MORE BYMuhammad Atiq Ahmad
qurbatoñ meñ kho gayā ki fāsloñ meñ kho gayā
qāfila imkān kā kin rāstoñ meñ kho gayā
ek hī rasta milā thā tujh tak aane ke liye
aur maiñ us rāste kī mushkiloñ meñ kho gayā
phir suḳhan ke dā.ere meñ aa gayā terā ḳhayāl
phir faūlun fā.elun ke silsiloñ meñ kho gayā
go ki mere sāmne vo jhiil sī āñkheñ na thiiñ
maiñ magar un ke ḳhayālī manzaroñ meñ kho gayā
phuul haiñ 'ahmad' kahāñ is gulshan-e-barbād meñ
phir ye naḳhl-e-dil ḳhizāñ kī vus.atoñ meñ kho gayā
qurbaton mein kho gaya ki faslon mein kho gaya
qafila imkan ka kin raston mein kho gaya
ek hi rasta mila tha tujh tak aane ke liye
aur main us raste ki mushkilon mein kho gaya
phir suKHan ke daere mein aa gaya tera KHayal
phir faulun faelun ke silsilon mein kho gaya
go ki mere samne wo jhil si aankhen na thin
main magar un ke KHayali manzaron mein kho gaya
phul hain 'ahmad' kahan is gulshan-e-barbaad mein
phir ye naKHl-e-dil KHizan ki wusaton mein kho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.