qusur-war hai dil be-qusur thoDi hai
qusūr-vār hai dil be-qusūr thoḌī hai
koī tumhārī tarah jī huzūr thoḌī hai
nigāheñ DhūñDhtī rahtī haiñ har ghaḌī jis ko
vo dhaḌkanoñ se kisī vaqt duur thoḌī hai
'atā kiyā hai mohabbat ne jo tumhārī mujhe
kisī bhī chiiz meñ aisā surūr thoḌī hai
sitāre shams qamar jugnū sab to haiñ lekin
tumhāre baa'd in āñkhoñ meñ nuur thoḌī hai
maqām kyā hai mohabbat meñ hijr kā 'sonam'
in 'aql vāloñ ko is kā shu'ūr thoḌī hai
qusur-war hai dil be-qusur thoDi hai
koi tumhaari tarah ji huzur thoDi hai
nigahen DhunDhti rahti hain har ghaDi jis ko
wo dhaDkanon se kisi waqt dur thoDi hai
'ata kiya hai mohabbat ne jo tumhaari mujhe
kisi bhi chiz mein aisa surur thoDi hai
sitare shams qamar jugnu sab to hain lekin
tumhaare ba'd in aankhon mein nur thoDi hai
maqam kya hai mohabbat mein hijr ka 'sonam'
in 'aql walon ko is ka shu'ur thoDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.