rabta ban nahin raha rasta ban nahin raha
rābta ban nahīñ rahā rāsta ban nahīñ rahā
bhiiḌ ke saath huuñ magar qāfila ban nahīñ rahā
nāqa-e-jāñ ko rokiye duur talak sarāb hai
aur ye dil ki ab talak peshvā ban nahīñ rahā
zād-e-safar na pochhiye zād-e-safar ke naam par
be-numū ek zaḳhm hai aabla ban nahīñ rahā
itnā to kah ki haath meñ aur koī hunar bhī hai
terā suḳhan tirā kafīl shā.era ban nahīñ rahā
chāra nahīñ koī 'abīr' minnat-e-ġhair ke sivā
chehra-ba-chehra bhī agar vāsta ban nahīñ rahā
rabta ban nahin raha rasta ban nahin raha
bhiD ke sath hun magar qafila ban nahin raha
naqa-e-jaan ko rokiye dur talak sarab hai
aur ye dil ki ab talak peshwa ban nahin raha
zad-e-safar na pochhiye zad-e-safar ke nam par
be-numu ek zaKHm hai aabla ban nahin raha
itna to kah ki hath mein aur koi hunar bhi hai
tera suKHan tera kafil shaera ban nahin raha
chaara nahin koi 'abir' minnat-e-ghair ke siwa
chehra-ba-chehra bhi agar wasta ban nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.