rabta ek hasin TuTa hai
rābta ik hasīn TuuTā hai
phuul tāza-tarīn TuuTā hai
dil to common sī chiiz hai yaaro
mujh se is kā yaqīn TuuTā hai
itne jugnū kahāñ se aa.e haiñ
kyā sitārā mahīn TuuTā hai
ab ke to ashk bhī nahīñ aa.e
ab ke dil behtarīn TuuTā hai
hañstī āñkhoñ meñ TuuTe sapne haiñ
hai makāñ par makīn TuuTā hai
rabta ek hasin TuTa hai
phul taza-tarin TuTa hai
dil to common si chiz hai yaro
mujh se is ka yaqin TuTa hai
itne jugnu kahan se aae hain
kya sitara mahin TuTa hai
ab ke to ashk bhi nahin aae
ab ke dil behtarin TuTa hai
hansti aankhon mein TuTe sapne hain
hai makan par makin TuTa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.