rabta intihaon mein rakhna
rābta intihāoñ meñ rakhnā
jalte sūraj ko chhāoñ meñ rakhnā
shahr meñ is kā rahnā Thiik nahīñ
is mohabbat ko gaañv meñ rakhnā
garche amrit-farosh haiñ 'attār
zahr lekin davāoñ meñ rakhnā
Thahrnā maut kī 'alāmat hai
gardisheñ apne paañv meñ rakhnā
ye munājāteñ ḳhuub haiñ lekin
kuchh asar bhī du'āoñ meñ rakhnā
rabta intihaon mein rakhna
jalte suraj ko chhaon mein rakhna
shahr mein is ka rahna Thik nahin
is mohabbat ko ganw mein rakhna
garche amrit-farosh hain 'attar
zahr lekin dawaon mein rakhna
Thahrna maut ki 'alamat hai
gardishen apne panw mein rakhna
ye munajaten KHub hain lekin
kuchh asar bhi du'aon mein rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.