rabta mujhse mera joD diya karta tha
rābta mujh se mirā joḌ diyā kartā thā
vo jo ik shaḳhs mujhe chhoḌ diyā kartā thā
mujhe dariyā, kabhī sahrā ke havāle kar ke
vo kahānī ko nayā moḌ diyā kartā thā
is se aage to mohabbat se gila hai mujh ko
tū to bas haat mirā chhoḌ diyā kartā thā
baat peḌoñ kī nahīñ, ġham hai parindoñ kā 'nadīm'
ghoñsle jin ke koī toḌ diyā kartā thā
rabta mujh se mera joD diya karta tha
wo jo ek shaKHs mujhe chhoD diya karta tha
mujhe dariya, kabhi sahra ke hawale kar ke
wo kahani ko naya moD diya karta tha
is se aage to mohabbat se gila hai mujh ko
tu to bas hat mera chhoD diya karta tha
baat peDon ki nahin, gham hai parindon ka 'nadim'
ghonsle jin ke koi toD diya karta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.