rabte bhi nahin fasla bhi nahin
rābte bhī nahīñ fāsla bhī nahīñ
duur huuñ tujh se lekin judā bhī nahīñ
maut hī se sahī zā.iqe to mile
zindagī meñ to koī maza bhī nahīñ
kis kī āñkhoñ meñ dekheñ mohabbat kā aks
ab to aisā koī ā.īna bhī nahīñ
laakh ġhurbat shikastoñ ke sāmāñ kare
hārne vaalī merī anā bhī nahīñ
chāñd taare chamakte haiñ un ke liye
jin ke ghar raushnī ko diyā bhī nahīñ
umr rahte hue kar lo ishq-o-vafā
ye vo vājib hai jis kī qazā bhī nahīñ
merī ḳhāmoshiyāñ us kī sargoshiyāñ
maiñ ne sab kah diyā aur kahā bhī nahīñ
un kā 'merāj' kaisā ajab tarz hai
be-vafā bhī nahīñ bā-vafā bhī nahīñ
rabte bhi nahin fasla bhi nahin
dur hun tujh se lekin juda bhi nahin
maut hi se sahi zaiqe to mile
zindagi mein to koi maza bhi nahin
kis ki aankhon mein dekhen mohabbat ka aks
ab to aisa koi aaina bhi nahin
lakh ghurbat shikaston ke saman kare
haarne wali meri ana bhi nahin
chand tare chamakte hain un ke liye
jin ke ghar raushni ko diya bhi nahin
umr rahte hue kar lo ishq-o-wafa
ye wo wajib hai jis ki qaza bhi nahin
meri KHamoshiyan us ki sargoshiyan
main ne sab kah diya aur kaha bhi nahin
un ka 'meraj' kaisa ajab tarz hai
be-wafa bhi nahin ba-wafa bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.