raegan ishq ki mat KHud ko saza do anjum
rā.egāñ 'ishq kī mat ḳhud ko sazā do 'anjum'
jo tumheñ bhuul gayā us ko bhulā do anjum
mujh se bardāsht nahīñ hoñgī ab us kī bāteñ
merī jānib se zamāne ko batā do anjum
in kī chahkār se yādoñ meñ ḳhalal paḌtā hai
ghar kī dīvār se chiḌiyoñ ko uḌā do anjum
vo agar maan gayā hai to karo shukr adā
vo agar ruuTh gayā hai to du'ā do anjum
jo bhī miltā hai udāsī kā sabab pūchhtā hai
ek hī baar use naam batā do anjum
dekhnā us se guzārish hī na karnā pyāre
duniyā raste meñ agar aa.e haTā do anjum
us ke milne kī nahīñ hai koī sūrat phir bhī
vo zarūrī hai kahīñ se use lā do 'anjum'
raegan 'ishq ki mat KHud ko saza do 'anjum'
jo tumhein bhul gaya us ko bhula do anjum
mujh se bardasht nahin hongi ab us ki baaten
meri jaanib se zamane ko bata do anjum
in ki chahkar se yaadon mein KHalal paDta hai
ghar ki diwar se chiDiyon ko uDa do anjum
wo agar man gaya hai to karo shukr ada
wo agar ruTh gaya hai to du'a do anjum
jo bhi milta hai udasi ka sabab puchhta hai
ek hi bar use nam bata do anjum
dekhna us se guzarish hi na karna pyare
duniya raste mein agar aae haTa do anjum
us ke milne ki nahin hai koi surat phir bhi
wo zaruri hai kahin se use la do 'anjum'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.