raegan jata hai kab ulfat mein diwanon ka KHun
raegan jata hai kab ulfat mein diwanon ka KHun
Baldev singh Hamdam
MORE BYBaldev singh Hamdam
rā.egāñ jaatā hai kab ulfat meñ dīvānoñ kā ḳhuuñ
rañg laatā hai kisī din in ke armānoñ kā ḳhuuñ
husn-e-gul par is qadar maa.il na ho ai andalīb
ho ke rah jā.egā ik din tere armānoñ kā ḳhuuñ
ḳhaak bulbul ne sañvārā ġhāza bhī kar husn-e-gul
aur nūr-e-sham.a meñ chamkā hai parvānoñ kā ḳhuuñ
āshiyāne meñ qafas kā zikr thā sūhān-e-rūh
ab qafas meñ ho rahā hai dil ke armānoñ kā ḳhuuñ
sub.h tak ai sham.a tujh ko jagmagānā hai faqat
kis liye nāhaq kiye jaate haiñ parvānoñ kā ḳhuuñ
raegan jata hai kab ulfat mein diwanon ka KHun
rang lata hai kisi din in ke armanon ka KHun
husn-e-gul par is qadar mail na ho ai andalib
ho ke rah jaega ek din tere armanon ka KHun
KHak bulbul ne sanwara ghaza bhi kar husn-e-gul
aur nur-e-shama mein chamka hai parwanon ka KHun
aashiyane mein qafas ka zikr tha suhan-e-ruh
ab qafas mein ho raha hai dil ke armanon ka KHun
subh tak ai shama tujh ko jagmagana hai faqat
kis liye nahaq kiye jate hain parwanon ka KHun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.