rah badlen ki rahnuma badlen
raah badleñ ki rahnumā badleñ
ham haiñ is soch meñ ki kyā badleñ
kar chuke the jo ham bichhaḌne kā
ab zarūrī hai faisla badleñ
kār-e-duniyā meñ ham pe lāzim hai
ḳhud-parastī kī har adā badleñ
bad-gumānī hī bad-gumānī hai
shahr-e-zulmat meñ āshnā badleñ
laḌ chuke haiñ bahut zamāne se
ab to 'tanhā' ye ma.arka badleñ
rah badlen ki rahnuma badlen
hum hain is soch mein ki kya badlen
kar chuke the jo hum bichhaDne ka
ab zaruri hai faisla badlen
kar-e-duniya mein hum pe lazim hai
KHud-parasti ki har ada badlen
bad-gumani hi bad-gumani hai
shahr-e-zulmat mein aashna badlen
laD chuke hain bahut zamane se
ab to 'tanha' ye marka badlen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.