rah dushwar hai us pe jaana nahin
raah dushvār hai us pe jaanā nahīñ
log kahte rahe ham ne maanā nahīñ
ho ga.ī haiñ mizājoñ meñ tabdīliyāñ
der tak jāgnā muskurānā nahīñ
ghar kī ashyā meñ shāmil mohabbat rahe
ghar faqat markaz-e-āb-o-dāna nahīñ
zindagī ek jangal kī patlī saḌak
aur jangal ki jis meñ Thikānā nahīñ
bazm-e-yārāñ sajī roz kuchh is tarah
jaise 'ādat ho milnā milānā nahīñ
azhdahe ghoñsloñ ke muhāne pe haiñ
aur aage kā is ke fasāna nahīñ
kal zamīnoñ se tārīḳh niklegī jab
haDDiyāñ hī mileñgī ḳhazāna nahīñ
ik nasīhat suno apne sayyād ko
baḳhsh denā magar bhuul jaanā nahīñ
rah dushwar hai us pe jaana nahin
log kahte rahe hum ne mana nahin
ho gai hain mizajon mein tabdiliyan
der tak jagna muskurana nahin
ghar ki ashya mein shamil mohabbat rahe
ghar faqat markaz-e-ab-o-dana nahin
zindagi ek jangal ki patli saDak
aur jangal ki jis mein Thikana nahin
bazm-e-yaran saji roz kuchh is tarah
jaise 'adat ho milna milana nahin
azhdahe ghonslon ke muhane pe hain
aur aage ka is ke fasana nahin
kal zaminon se tariKH niklegi jab
haDDiyan hi milengi KHazana nahin
ek nasihat suno apne sayyaad ko
baKHsh dena magar bhul jaana nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.