rah-e-duniya ke liye baad-e-bahaari le ja
rāh-e-duniyā ke liye bād-e-bahārī le jā
paañv thak jā.eñge phūloñ kī savārī le jā
mujh pe chaltā nahīñ ab terī nigāhoñ kā fusūñ
mere aage se ye jaadū kī piTārī le jā
muflisī khā chukī ashkoñ meñ bhigo kar faaqe
taḳht-e-ummīd se vā'doñ kī taġhārī le jā
raah meñ barf ke peḌoñ kī farāvānī hai
garm kapḌoñ ke 'evaz dhuup kī aarī le jā
tujh ko siinā hai mire ḳhvāb kī dul.han kā libās
chāñd kā goTā sitāroñ kī kanārī le jā
rah-e-duniya ke liye baad-e-bahaari le ja
panw thak jaenge phulon ki sawari le ja
mujh pe chalta nahin ab teri nigahon ka fusun
mere aage se ye jadu ki piTari le ja
muflisi kha chuki ashkon mein bhigo kar faqe
taKHt-e-ummid se wa'don ki taghaari le ja
rah mein barf ke peDon ki farawani hai
garm kapDon ke 'ewaz dhup ki aari le ja
tujh ko sina hai mere KHwab ki dulhan ka libas
chand ka goTa sitaron ki kanari le ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.