rah-e-gham se hayat guzri hai
rāh-e-ġham se hayāt guzrī hai
muzmahil sī barāt guzrī hai
haa.e ye kis tarah guzarnī thī
ban ke jo hādsāt guzrī hai
zabt-e-ġham ho ki shiddat-e-ġham ho
had se har ek baat guzrī hai
de ga.e saath zindagī kā ġham
umr kyā ġham kī raat guzrī hai
dil pe aisī guzar ga.ī hamdam
jaise ik vārdāt guzrī hai
chhoḌ kar jā rahā hai kyoñ ai ġham
zindagī tere saath guzrī hai
ashk-bār hai hayāt muddat se
raqs kartī mamāt guzrī hai
kal tire saath na guzar jaa.e
aaj jo mere saath guzrī hai
jaise guzrī ho ehtimāmoñ meñ
yuuñ ġhamoñ meñ hayāt guzrī hai
us ke bin pūchh mat ye 'ashraf' se
kis tarah kal kī raat guzrī hai
rah-e-gham se hayat guzri hai
muzmahil si baraat guzri hai
hae ye kis tarah guzarni thi
ban ke jo hadsat guzri hai
zabt-e-gham ho ki shiddat-e-gham ho
had se har ek baat guzri hai
de gae sath zindagi ka gham
umr kya gham ki raat guzri hai
dil pe aisi guzar gai hamdam
jaise ek wardat guzri hai
chhoD kar ja raha hai kyon ai gham
zindagi tere sath guzri hai
ashk-bar hai hayat muddat se
raqs karti mamat guzri hai
kal tere sath na guzar jae
aaj jo mere sath guzri hai
jaise guzri ho ehtimamon mein
yun ghamon mein hayat guzri hai
us ke bin puchh mat ye 'ashraf' se
kis tarah kal ki raat guzri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.