Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rah-e-hasti ke har ek moD se bach kar nikle

Amanullah Khalid

rah-e-hasti ke har ek moD se bach kar nikle

Amanullah Khalid

MORE BYAmanullah Khalid

    rāh-e-hastī ke har ik moḌ se bach kar nikle

    ahl-e-dānish se to dīvāne behtar nikle

    vaqt tez havāoñ ne ajab moḌ liyā

    phuul se haath jo the un meñ bhī patthar nikle

    terī yādoñ ke sahāre jo guzāre ham ne

    vo lamhāt faqat apnā muqaddar nikle

    ham ne ġhairoñ ke bhī ashkoñ ko liyā dāman par

    chāhe ḳhud ġham ke samundar meñ nahā kar nikle

    un fariyād aahoñ asar hogā

    apne hāthoñ se jo ghar apnā jalā kar nikle

    ġham zamāne jafāoñ kareñ kyā 'ḳhālid'

    jab garebān kāñToñ se sajā kar nikle

    rah-e-hasti ke har ek moD se bach kar nikle

    ahl-e-danish se to diwane hi behtar nikle

    waqt ki tez hawaon ne ajab moD liya

    phul se hath jo the un mein bhi patthar nikle

    teri yaadon ke sahaare jo guzare hum ne

    wo hi lamhat faqat apna muqaddar nikle

    hum ne ghairon ke bhi ashkon ko liya daman par

    chahe KHud gham ke samundar mein naha kar nikle

    un ki fariyaad ka aahon ka asar hoga

    apne hathon se jo ghar apna jala kar nikle

    gham zamane ki jafaon ka karen kya 'KHalid'

    jab gareban hi kanTon se saja kar nikle

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now