rah-e-hayat mein dil-e-viran duhai de
rāh-e-hayāt meñ dil-e-vīrāñ duhā.ī de
dushman ko bhī ḳhudā na ġham-e-āshnā.ī de
maiñ sāhib-e-qalam huuñ mujhe ai shu.ūr-e-fan
aa.e na jo giraft meñ aisī kalā.ī de
duniyā fareb-e-rishta-e-bāham na de mujhe
jo bhā.ī-chārgī kā ho paikar vo bhaa.ī de
maiñ apnā haath apne lahū meñ Dubo na luuñ
jab tak vo mere haath meñ dast-e-hinā.ī de
ḳhanjar hai jis ke haath meñ patthar hai jis kā dil
kyā us ke sāmne koī apnī safā.ī de
jis par mire lahū ne sajāyā thā naqsh-e-dil
ai kaash phir mujhe vo hathelī dikhā.ī de
is taaza karbalā meñ bhī yārab duā ye hai
īsār ko nasheb vafā ko tarā.ī de
duurī qarīn-e-maslahat-e-vaqt hai agar
qurbat ke naam par mujhe dāġh-e-judā.ī de
sehn-e-chaman meñ gosh-bar-āvāz hai 'sabā'
shāyad dil-e-shamīm kī dhaḌkan sunā.ī de
rah-e-hayat mein dil-e-viran duhai de
dushman ko bhi KHuda na gham-e-ashnai de
main sahib-e-qalam hun mujhe ai shuur-e-fan
aae na jo giraft mein aisi kalai de
duniya fareb-e-rishta-e-baham na de mujhe
jo bhai-chaargi ka ho paikar wo bhai de
main apna hath apne lahu mein Dubo na lun
jab tak wo mere hath mein dast-e-hinai de
KHanjar hai jis ke hath mein patthar hai jis ka dil
kya us ke samne koi apni safai de
jis par mere lahu ne sajaya tha naqsh-e-dil
ai kash phir mujhe wo hatheli dikhai de
is taza karbala mein bhi yarab dua ye hai
isar ko nasheb wafa ko tarai de
duri qarin-e-maslahat-e-waqt hai agar
qurbat ke nam par mujhe dagh-e-judai de
sehn-e-chaman mein gosh-bar-awaz hai 'saba'
shayad dil-e-shamim ki dhaDkan sunai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.