Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rah-e-KHuda mein aalam-e-rindana mil gaya

Shakeel Badayuni

rah-e-KHuda mein aalam-e-rindana mil gaya

Shakeel Badayuni

MORE BYShakeel Badayuni

    rāh-e-ḳhudā meñ ālam-e-rindāna mil gayā

    masjid ko DhūñDte the ki mai-ḳhāna mil gayā

    āġhāz-e-kā.enāt se jis talāsh thī

    aurāq-e-zindagī meñ vo afsāna mil gayā

    ahl-e-junūñ ko taab kahāñ soz-e-husn

    jalte sham.a ḳhaak meñ parvāna mil gayā

    dekhā nigāh-e-yās se jab gul-kade rañg

    har gul aaḌ meñ koī vīrāna mil gayā

    ik ik zabān par mirī rūdād hai 'shakīl'

    apnoñ ke saath kyā koī begāna mil gayā

    rah-e-KHuda mein aalam-e-rindana mil gaya

    masjid ko DhunDte the ki mai-KHana mil gaya

    aaghaz-e-kaenat se jis ki talash thi

    auraq-e-zindagi mein wo afsana mil gaya

    ahl-e-junun ko tab kahan soz-e-husn ki

    jalte hi shama KHak mein parwana mil gaya

    dekha nigah-e-yas se jab gul-kade ka rang

    har gul ki aaD mein koi virana mil gaya

    ek ek zaban par meri rudad hai 'shakil'

    apnon ke sath kya koi begana mil gaya

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Shakiil Badaayuuni (Pg. 681)
    • Author : Shakiil Badaayuuni
    • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now