rah-e-safar mein gard kabhi hai kabhi nahin
rāh-e-safar meñ gard kabhī hai kabhī nahīñ
dil mubtalā-e-dard kabhī hai kabhī nahīñ
hairāñ kiye haiñ ḳhalq ko jaadū kī bastiyāñ
nām-o-nishān-e-fard kabhī hai kabhī nahīñ
ḳhuuñ kī safediyoñ kā nazāra hai mustaqil
zor-e-havā-e-sard kabhī hai kabhī nahīñ
ye kaise hādsāt kī sūrat hai shahr meñ
chehroñ kā rang zard kabhī hai kabhī nahīñ
nīlāhaToñ ko jis ne ġhazabnāk kar diyā
vo sang-e-lājvard kabhī hai kabhī nahīñ
'rāhat' vo apnī tarz badaltā hai bārhā
lagtā mujhe bhī mard kabhī hai kabhī nahīñ
rah-e-safar mein gard kabhi hai kabhi nahin
dil mubtala-e-dard kabhi hai kabhi nahin
hairan kiye hain KHalq ko jadu ki bastiyan
nam-o-nishan-e-fard kabhi hai kabhi nahin
KHun ki safediyon ka nazara hai mustaqil
zor-e-hawa-e-sard kabhi hai kabhi nahin
ye kaise hadsat ki surat hai shahr mein
chehron ka rang zard kabhi hai kabhi nahin
nilahaTon ko jis ne ghazabnak kar diya
wo sang-e-lajward kabhi hai kabhi nahin
'rahat' wo apni tarz badalta hai barha
lagta mujhe bhi mard kabhi hai kabhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.