rah-e-tarik mein karte hain ujale le ja
rah-e-tarik mein karte hain ujale le ja
Khaleel Husain Balooch
MORE BYKhaleel Husain Balooch
rāh-e-tārīk meñ karte haiñ ujāle le jā
Thahr detā huuñ tujhe pair ke chhāle le jā
āmad-e-vasl pe bandish hai anokhī koī
hijr sarkār ke phūñke hue taale le jā
mere ash.ār ġham-e-jāñ kā samar haiñ āḳhir
maiñ ne haiñ dard bahut naaz se paale le jā
fatvā-e-fisq lagā shauq se lekin mujh se
apne do-chār gunāhoñ ke havāle le jā
maiñ kabhī dard ko ā.ūñgā dilāsa dene
tū abhī hijr ko siine se lagā le le jā
tere va.adoñ pe baḌī gard jamī hai aa kar
apnī qasmoñ ke laTakte hue jaale le jā
mere us taaq meñ rakhā hai uThā le le jā ke
jā tū ab ishq ko māthe pe sajā le le jā
jā-ba-jā bhuuk ne Dere haiñ jamā.e hamdam
apne dāman meñ tū roTī ke nivāle le jā
tum kisī ḳhvāb ko aa.e ho sahārā dene
chashm-e-bīmār ne pheñke haiñ uThā le le jā
merī ab jaan ke dar pe hai tirā hijr 'ḳhalīl'
is se pahle ki mujhe maar hī Daale le jā
rah-e-tarik mein karte hain ujale le ja
Thahr deta hun tujhe pair ke chhaale le ja
aamad-e-wasl pe bandish hai anokhi koi
hijr sarkar ke phunke hue tale le ja
mere ashaar gham-e-jaan ka samar hain aaKHir
main ne hain dard bahut naz se pale le ja
fatwa-e-fisq laga shauq se lekin mujh se
apne do-chaar gunahon ke hawale le ja
main kabhi dard ko aaunga dilasa dene
tu abhi hijr ko sine se laga le le ja
tere wadon pe baDi gard jami hai aa kar
apni qasmon ke laTakte hue jale le ja
mere us taq mein rakha hai uTha le le ja ke
ja tu ab ishq ko mathe pe saja le le ja
ja-ba-ja bhuk ne Dere hain jamae hamdam
apne daman mein tu roTi ke niwale le ja
tum kisi KHwab ko aae ho sahaara dene
chashm-e-bimar ne phenke hain uTha le le ja
meri ab jaan ke dar pe hai tera hijr 'KHalil'
is se pahle ki mujhe mar hi Dale le ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.