rah-e-talab mein azm-e-tajassus jawan rahe
rāh-e-talab meñ azm-e-tajassus javāñ rahe
manzil jo be-nishāñ hai mirī be-nishāñ rahe
ham dil-figār chāk-e-garebāñ jahāñ rahe
paiham nishāna-e-sitam-e-āsmāñ rahe
āñkhoñ se ashk ban ke Tapaktā hai ek roz
vo soz-e-ġham jo qalb-e-hazīñ meñ nihāñ rahe
bedād-e-charḳh ne go hameñ ḳhaak kar diyā
terā jamāl zīnat-e-bazm-e-jahāñ rahe
apnī taraf se laakh vo ham se khiñchā kiye
phir bhī hamāre dīda-e-dil meñ nihāñ rahe
tā-zindagī 'naresh' kisī ke firāq meñ
āñkhoñ se merī ḳhuun ke aañsū ravāñ rahe
rah-e-talab mein azm-e-tajassus jawan rahe
manzil jo be-nishan hai meri be-nishan rahe
hum dil-figar chaak-e-gareban jahan rahe
paiham nishana-e-sitam-e-asman rahe
aankhon se ashk ban ke Tapakta hai ek roz
wo soz-e-gham jo qalb-e-hazin mein nihan rahe
bedad-e-charKH ne go hamein KHak kar diya
tera jamal zinat-e-bazm-e-jahan rahe
apni taraf se lakh wo hum se khincha kiye
phir bhi hamare dida-e-dil mein nihan rahe
ta-zindagi 'naresh' kisi ke firaq mein
aankhon se meri KHun ke aansu rawan rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.