rah-e-ulfat ki aan baqi hai
rāh-e-ulfat kī aan baaqī hai
kuchh miTī kuchh takān baaqī hai
āh-e-sozāñ ne sab ko phūñk diyā
kis tarah āsmān baaqī hai
zaḳhm-e-dil mundamil huā lekin
ek dhuñdlā nishān baaqī hai
na jigar hai na dil hai pahlū meñ
saañs chaltī hai jaan baaqī hai
jaan de do 'vafā' mohabbat meñ
āḳhirī imtihān baaqī hai
rah-e-ulfat ki aan baqi hai
kuchh miTi kuchh takan baqi hai
aah-e-sozan ne sab ko phunk diya
kis tarah aasman baqi hai
zaKHm-e-dil mundamil hua lekin
ek dhundla nishan baqi hai
na jigar hai na dil hai pahlu mein
sans chalti hai jaan baqi hai
jaan de do 'wafa' mohabbat mein
aaKHiri imtihan baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.