rah-e-ulfat mein kahin aise jiya jata hai
rah-e-ulfat mein kahin aise jiya jata hai
Begum Sultana Zakir Ada
MORE BYBegum Sultana Zakir Ada
rāh-e-ulfat meñ kahīñ aise jiyā jaatā hai
zaḳhm-e-dil zaḳhm-e-jigar aap siyā jaatā hai
jab kamī dard meñ hotī hai sañbhal jaate haiñ
yaad aa jaa.e to phir dard sahā jaatā hai
hoñ agar paas bhī vo hotā nahīñ ġham kā bayāñ
aise hālāt meñ kyā kis se kahā jaatā hai
bas yahī sochte rahte haiñ kaheñ yā na kaheñ
ban kahe bhī to nahīñ ham se rahā jaatā hai
chārāgar koī na ho paas to kyā kiije gila
chashm bhar aa.e to ashkoñ ko piyā jaatā hai
zindagī yūñhī taraddud meñ guzar jā.egī
zabt karnā bhī to dushvār huā jaatā hai
aap ḳhāmosh har ik baat pe ho jaate haiñ
kyā kisī ko yūñhī ilzām diyā jaatā hai
aise hālāt meñ kuchh faisla kiije to 'adā'
dil-e-nākām yuuñ badnām huā jaatā hai
rah-e-ulfat mein kahin aise jiya jata hai
zaKHm-e-dil zaKHm-e-jigar aap siya jata hai
jab kami dard mein hoti hai sanbhal jate hain
yaad aa jae to phir dard saha jata hai
hon agar pas bhi wo hota nahin gham ka bayan
aise haalat mein kya kis se kaha jata hai
bas yahi sochte rahte hain kahen ya na kahen
ban kahe bhi to nahin hum se raha jata hai
chaaragar koi na ho pas to kya kije gila
chashm bhar aae to ashkon ko piya jata hai
zindagi yunhi taraddud mein guzar jaegi
zabt karna bhi to dushwar hua jata hai
aap KHamosh har ek baat pe ho jate hain
kya kisi ko yunhi ilzam diya jata hai
aise haalat mein kuchh faisla kije to 'ada'
dil-e-nakaam yun badnam hua jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.