rah-e-ulfat mein maqamat purane aae
rāh-e-ulfat meñ maqāmāt purāne aa.e
tum na aa.e to mujhe yaad fasāne aa.e
vaqt-e-ruḳhsat na diyā saath zabāñ ne lekin
ashk ban kar mirī āñkhoñ meñ tarāne aa.e
raat ke vaqt har ik samt the naqlī sūraj
saa.e the asl jo kirdār nibhāne aa.e
vaqt aatā hī nahīñ lauT ke ye baat hai jhuuT
merī āñkhoñ meñ ka.ī guzre zamāne aa.e
zindagī haar ga.ī haar kā mātam na kiyā
aise lamhāt to kitne hī na jaane aa.e
ghar mirā jal gayā lekin ye tasallī hai mujhe
aag jo de ke ga.e aag bujhāne aa.e
rah-e-ulfat mein maqamat purane aae
tum na aae to mujhe yaad fasane aae
waqt-e-ruKHsat na diya sath zaban ne lekin
ashk ban kar meri aankhon mein tarane aae
raat ke waqt har ek samt the naqli suraj
sae the asl jo kirdar nibhane aae
waqt aata hi nahin lauT ke ye baat hai jhuT
meri aankhon mein kai guzre zamane aae
zindagi haar gai haar ka matam na kiya
aise lamhat to kitne hi na jaane aae
ghar mera jal gaya lekin ye tasalli hai mujhe
aag jo de ke gae aag bujhane aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.