rah-e-ulfat mein rakhe jab the qadam yaad hai kuchh
rāh-e-ulfat meñ rakhe jab the qadam yaad hai kuchh
baaz aa.e the kabhī aap na ham yaad hai kuchh
kaise ik duuje ke ham aib chhupā rakhte the
pārsā yuuñ to kabhī tum the na ham yaad hai kuchh
hosh meñ rah ke bhī mad.hosh bane phirte the
ham tirī āñkhoñ kā rakhte the bharam yaad hai kuchh
mo'taqid jab nahīñ hote the vafā ke ham tum
na koī dard na kuchh ranj-o-alam yaad hai kuchh
mas.ala jhuuT ko sach karne kā jab aaya kabhī
tum ne khaa.ī thī mire sar kī qasam yaad hai kuchh
rah-e-ulfat mein rakhe jab the qadam yaad hai kuchh
baz aae the kabhi aap na hum yaad hai kuchh
kaise ek duje ke hum aib chhupa rakhte the
parsa yun to kabhi tum the na hum yaad hai kuchh
hosh mein rah ke bhi madhosh bane phirte the
hum teri aankhon ka rakhte the bharam yaad hai kuchh
mo'taqid jab nahin hote the wafa ke hum tum
na koi dard na kuchh ranj-o-alam yaad hai kuchh
masala jhuT ko sach karne ka jab aaya kabhi
tum ne khai thi mere sar ki qasam yaad hai kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.