rah-e-wafa pe kam hain KHasare hamare dost
rāh-e-vafā pe kam haiñ ḳhasāre hamāre dost
haiñ is safar ke apne sitāre hamāre dost
kuchh saañp chāhiye the ḳhazāne ke vāste
itne meñ āstīñ se pukāre hamāre dost
ik din sambhal hī jaatā hai duniyā se haarā shaḳhs
lekin jo apne-āp se haare hamāre dost
dushman kī ham ko koī zarūrat nahīñ paḌī
kīna-ba-sīna phirte haiñ saare hamāre dost
ham ne ġhazal kī oT se sab kuchh batā diyā
lekin samajh na paa.e ishāre hamāre dost
rah-e-wafa pe kam hain KHasare hamare dost
hain is safar ke apne sitare hamare dost
kuchh sanp chahiye the KHazane ke waste
itne mein aastin se pukare hamare dost
ek din sambhal hi jata hai duniya se haara shaKHs
lekin jo apne-ap se haare hamare dost
dushman ki hum ko koi zarurat nahin paDi
kina-ba-sina phirte hain sare hamare dost
hum ne ghazal ki oT se sab kuchh bata diya
lekin samajh na pae ishaare hamare dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.