rah jine ki batao to koi baat bane
raah jiine kī batāo to koī baat bane
hausla dil kā baḌhāo to koī baat bane
sirf iz.hār-e-mohabbat se nahīñ kaam chale
haañ agar saath nibhāo to koī baat bane
duur se dīda-e-ummīd ko tarsāte ho
jab mujhe paas bulāo to koī baat bane
na karo duur se dāvā-e-masīhā.ī tum
mujh se murde ko jilāo to koī baat bane
ġhairiyat ab bhī numāyāñ hai zarā rahm karo
tum mujhe apnā banāo to koī baat bane
mo.āmla dil kā batāne meñ pas-o-pesh hai kyā
parda-e-sharm uThāo to koī baat bane
kyoñ sunāte ho mujhe qissa-e-dard-e-hijrāñ
pyaar ke giit sunāo to koī baat bane
aañkh se aañkh milāte ho bhalā 'ahqar' se
dil ko dil se jo milāo to koī baat bane
rah jine ki batao to koi baat bane
hausla dil ka baDhao to koi baat bane
sirf izhaar-e-mohabbat se nahin kaam chale
han agar sath nibhao to koi baat bane
dur se dida-e-ummid ko tarsate ho
jab mujhe pas bulao to koi baat bane
na karo dur se dawa-e-masihai tum
mujh se murde ko jilao to koi baat bane
ghairiyat ab bhi numayan hai zara rahm karo
tum mujhe apna banao to koi baat bane
moamla dil ka batane mein pas-o-pesh hai kya
parda-e-sharm uThao to koi baat bane
kyon sunate ho mujhe qissa-e-dard-e-hijran
pyar ke git sunao to koi baat bane
aankh se aankh milate ho bhala 'ahqar' se
dil ko dil se jo milao to koi baat bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.