rah ka har Khaar ek din gulsitan ban jaega
raah kā har ḳhaar ik din gulsitāñ ban jā.egā
zarra zarra ḳhaak kā phir āsmāñ ban jā.egā
nafrateñ miT jā.eñgī harf-e-ġhalat kī tarah se
haañ magar harf-e-ġhalat ik dāstāñ ban jā.egā
bin kahe vo dil kī bāteñ jaan jā.eñge zarūr
har-bun-e-mū ek din nok-e-zabāñ ban jā.egā
sirf ḳhākistar nahīñ haiñ jā-ba-jā chingāriyāñ
TūTtā taarā bhī ik din kahkashāñ ban jā.egā
dekhnā hai ḳhvāb dekho bas isī aiqāñ ke saath
uThne vaalā har qadam taaza jahāñ ban jā.egā
rah ka har KHar ek din gulsitan ban jaega
zarra zarra KHak ka phir aasman ban jaega
nafraten miT jaengi harf-e-ghalat ki tarah se
han magar harf-e-ghalat ek dastan ban jaega
bin kahe wo dil ki baaten jaan jaenge zarur
har-bun-e-mu ek din nok-e-zaban ban jaega
sirf KHakistar nahin hain ja-ba-ja chingariyan
TuTta tara bhi ek din kahkashan ban jaega
dekhna hai KHwab dekho bas isi aiqan ke sath
uThne wala har qadam taza jahan ban jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.