Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rah khulti nahin dar band hua jata hai

Amir Hamza Saqib

rah khulti nahin dar band hua jata hai

Amir Hamza Saqib

MORE BYAmir Hamza Saqib

    raah khultī nahīñ dar band huā jaatā hai

    mujh se aage mirī qismat likhā jaatā hai

    ruuh zamzama-pardāzī mātam kaisā

    jism ke shor meñ har saaz dabā jaatā hai

    jaane kis jurm meñ māḳhūz vo zindānī hai

    jo bhī aatā hai vo zanjīr hilā jaatā hai

    tohfatan ek uchaTtī nazar ḳhushbū

    mausam-e-gul tirā mahrūm-e-navā jaatā hai

    markaz-e-dīda-o-dil kyā hai zarā socho to

    chaa.e mez ke sarfe meñ ḳhudā jaatā hai

    rah khulti nahin dar band hua jata hai

    mujh se aage meri qismat ka likha jata hai

    ruh ki zamzama-pardazi ka matam kaisa

    jism ke shor mein har saz daba jata hai

    jaane kis jurm mein maKHuz wo zindani hai

    jo bhi aata hai wo zanjir hila jata hai

    tohfatan ek uchaTti si nazar ki KHushbu

    mausam-e-gul tera mahrum-e-nawa jata hai

    markaz-e-dida-o-dil kya hai zara socho to

    chae ki mez ke sarfe mein KHuda jata hai

    Source :
    • Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 59)
    • Author : Ameer Hamza Saqib
    • Publication : Rekhta Publications (2019)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now