rah ko aazma ke dekho to
raah ko aazmā ke dekho to
ik qadam phir baḌhā ke dekho to
ek nannhī sī aarzū ke liye
ḳhvāb meñ ghar banā ke dekho to
ishq ik mo.ajiza sā hotā hai
tum kabhī dil lagā ke dekho to
in savāloñ se kuchh nahīñ hogā
tum mujhe aazmā ke dekho to
rah ko aazma ke dekho to
ek qadam phir baDha ke dekho to
ek nannhi si aarzu ke liye
KHwab mein ghar bana ke dekho to
ishq ek moajiza sa hota hai
tum kabhi dil laga ke dekho to
in sawalon se kuchh nahin hoga
tum mujhe aazma ke dekho to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.