rah mein hail na ho jate agar dair-o-haram
raah meñ haa.il na ho jaate agar dair-o-haram
aur shāyad duur tak milte tire naqsh-e-qadam
ishq meñ farq-e-marātib ko kabhī bhūle na ham
apnī ḳhātir āh-o-zārī un kī ḳhātir zabt-e-ġham
jab bhī haath aa.ī ba-qadr-e-zarf hī sābit huī
pī ke dekhī hai ziyāda se ziyāda kam se kam
kar liyā hai maiñ ne har ik hādse kā tajziya
muskurāne se masarrat ban gayā rone se ġham
āzmā.ish par utar aayā hai daur-e-inqilāb
dhuup ban kar rah gayā hai sāya-e-dair-o-haram
muddatoñ parvāne kī mānind jal chukne ke ba.ad
sham.a ban kar jal rahe haiñ ab tirī mahfil meñ ham
rah mein hail na ho jate agar dair-o-haram
aur shayad dur tak milte tere naqsh-e-qadam
ishq mein farq-e-maraatib ko kabhi bhule na hum
apni KHatir aah-o-zari un ki KHatir zabt-e-gham
jab bhi hath aai ba-qadr-e-zarf hi sabit hui
pi ke dekhi hai ziyaada se ziyaada kam se kam
kar liya hai main ne har ek hadse ka tajziya
muskurane se masarrat ban gaya rone se gham
aazmaish par utar aaya hai daur-e-inqilab
dhup ban kar rah gaya hai saya-e-dair-o-haram
muddaton parwane ki manind jal chukne ke baad
shama ban kar jal rahe hain ab teri mahfil mein hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.