rah mein jab mai-KHana paDa hai
raah meñ jab mai-ḳhāna paḌā hai
dil ko bahut samjhānā paḌā hai
gulshan gulshan aa.e the lekin
sahrā sahrā jaanā paḌā hai
ḳhair ho yārab hosh-o-ḳhirad kī
raah meñ phir mai-ḳhāna paḌā hai
kal jo chhalaktā thā mahfil meñ
aaj sar-e-mai-ḳhāna paḌā hai
kaam na divāna-pan aayā
hosh meñ phir se aanā paḌā hai
gulshan meñ rote ho 'saran' kyoñ
rone ko vīrāna paḌā hai
rah mein jab mai-KHana paDa hai
dil ko bahut samjhana paDa hai
gulshan gulshan aae the lekin
sahra sahra jaana paDa hai
KHair ho yarab hosh-o-KHirad ki
rah mein phir mai-KHana paDa hai
kal jo chhalakta tha mahfil mein
aaj sar-e-mai-KHana paDa hai
kaam na diwana-pan aaya
hosh mein phir se aana paDa hai
gulshan mein rote ho 'saran' kyon
rone ko virana paDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.