rah mein koi khaDa ho jaise
raah meñ koī khaḌā ho jaise
us ko manzil kā pata ho jaise
kyā hue aaj vo chehre ke nuqūsh
aa.ina pūchh rahā ho jaise
mere hamrāh nahīñ tū jab se
ye safar ek sazā ho jaise
terī yādoñ se gurezāñ honā
ab ġham-e-dil kī davā ho jaise
uf ye ḳhāmosh mohabbat ki 'shamīm'
saare aalam ko pata ho jaise
rah mein koi khaDa ho jaise
us ko manzil ka pata ho jaise
kya hue aaj wo chehre ke nuqush
aaina puchh raha ho jaise
mere hamrah nahin tu jab se
ye safar ek saza ho jaise
teri yaadon se gurezan hona
ab gham-e-dil ki dawa ho jaise
uf ye KHamosh mohabbat ki 'shamim'
sare aalam ko pata ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.