rah mein qadmon se jo lipTi safar ki dhul thi
raah meñ qadmoñ se jo lipTī safar kī dhuul thī
tum ne āñkhoñ meñ jagah dī ye tumhārī bhuul thī
umr bhar laḌtā rahā jo vaqt kī chaTTān se
kal mire kāñdhe pe us kī laash jaise phuul thī
ḳhair in bātoñ meñ kyā rakkhā hai qissa ḳhatm kar
maiñ tujhe hamdard samjhā thā ye merī bhuul thī
dostī kā haq nibhāyā terī ḳhātir laḌ paḌe
varna sach ye hai ki us kī baat hī ma.aqūl thī
rah mein qadmon se jo lipTi safar ki dhul thi
tum ne aankhon mein jagah di ye tumhaari bhul thi
umr bhar laDta raha jo waqt ki chaTTan se
kal mere kandhe pe us ki lash jaise phul thi
KHair in baaton mein kya rakkha hai qissa KHatm kar
main tujhe hamdard samjha tha ye meri bhul thi
dosti ka haq nibhaya teri KHatir laD paDe
warna sach ye hai ki us ki baat hi maqul thi
- Book : sheerazah (Pg. 110)
- Author : makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal
- Publication : P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6 (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.