rah mein surat-e-naqsh-e-kaf-e-pa rahta hun
raah meñ sūrat-e-naqsh-e-kaf-e-pā rahtā huuñ
har ghaḌī banñe bigaḌne ko paḌā rahtā huuñ
umr-e-rafta na kabhī aa.e manāne ke liye
muddateñ guzrīñ ki jiine se ḳhafā rahtā huuñ
sifat-e-kīna mirā ghar hai falak ke dil meñ
girah-e-dushman-e-ḳhātir meñ bañdhā rahtā huuñ
fitna-e-hashr ye kahtā hai mujhe pūchhe kaun
dāman-e-yār ke gosha meñ paḌā rahtā huuñ
qaid huuñ par sitam-e-ġhaflat-e-jauhar se 'munīr'
ġhussa ban kar dil-e-zindāñ meñ bharā rahtā huuñ
rah mein surat-e-naqsh-e-kaf-e-pa rahta hun
har ghaDi banne bigaDne ko paDa rahta hun
umr-e-rafta na kabhi aae manane ke liye
muddaten guzrin ki jine se KHafa rahta hun
sifat-e-kina mera ghar hai falak ke dil mein
girah-e-dushman-e-KHatir mein bandha rahta hun
fitna-e-hashr ye kahta hai mujhe puchhe kaun
daman-e-yar ke gosha mein paDa rahta hun
qaid hun par sitam-e-ghaflat-e-jauhar se 'munir'
ghussa ban kar dil-e-zindan mein bhara rahta hun
- Book : Intekhab-e-Kalam Muneer Shikohabadi (Pg. 67)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.