rah-raste mein tu yun rahta hai aa kar humse mil
rāh-raste meñ tū yuuñ rahtā hai aa kar ham se mil
kam gayā lekin vo yār-e-ḳhāngī ghar ham se mil
dil taḌaptā hai paḌā is sīna-e-sad-chāk meñ
khol kar band-e-qabā tū ai saman-bar ham se mil
be-niyāz us husn ko aur naaz ko barpā rakhe
be-takalluf ho ke tū ai nāz-parvar ham se mil
pahuñchnā tum tak miyāñ apnā to ik ashkāl hai
hove tā milnā tirā ham ko mayassar ham se mil
har musībat bhar ke maiñ pahuñchā huuñ tere dar talak
be-muravvat ek dam aa ghar se bāhar ham se mil
ab to us be-dast-o-pā se ho nahīñ saktī talāsh
DhūñD le kar ham ko ai rizq-e-muqaddar ham se mil
in dinoñ rahtī hai mujh ko be-qarārī beshtar
qasd kar ke to mukarrar aur muqarrar ham se mil
ser rakhtī haiñ mirī be-tābi.eñ us vaqt zor
harf hamārā gar nahīñ hai tujh ko bāvar ham se mil
ho gayā terī havā-ḳhvāhī meñ 'hasrat' tū ba-bād
baiThā kyā hai ḳhaak meñ ham ko milā kar ham se mil
rah-raste mein tu yun rahta hai aa kar hum se mil
kam gaya lekin wo yar-e-KHangi ghar hum se mil
dil taDapta hai paDa is sina-e-sad-chaak mein
khol kar band-e-qaba tu ai saman-bar hum se mil
be-niyaz us husn ko aur naz ko barpa rakhe
be-takalluf ho ke tu ai naz-parwar hum se mil
pahunchna tum tak miyan apna to ek ashkal hai
howe ta milna tera hum ko mayassar hum se mil
har musibat bhar ke main pahuncha hun tere dar talak
be-murawwat ek dam aa ghar se bahar hum se mil
ab to us be-dast-o-pa se ho nahin sakti talash
DhunD le kar hum ko ai rizq-e-muqaddar hum se mil
in dinon rahti hai mujh ko be-qarari beshtar
qasd kar ke to mukarrar aur muqarrar hum se mil
ser rakhti hain meri be-tabien us waqt zor
harf hamara gar nahin hai tujh ko bawar hum se mil
ho gaya teri hawa-KHwahi mein 'hasrat' tu ba-baad
baiTha kya hai KHak mein hum ko mila kar hum se mil
- Deewan-e-Hasrat Azeemabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.