rah-rau ko dur se manzil samajh baiThe the hum
rāh-rau ko duur se manzil samajh baiThe the ham
bahr-e-ġham meñ mauj ko sāhil samajh baiThe the ham
ab to har pechīdgī apnī samajh meñ aa ga.ī
varna har āsān ko mushkil samajh baiThe the ham
is meñ rahbar kī nahīñ thī balki apnī bhuul thī
yā'nī ik nādān ko 'āqil samajh baiThe the ham
har na.ī ḳhvāhish ko samjhe the muqaddas tishnagī
har dhaḌaktī chiiz ko kyoñ dil samajh baiThe the ham
rah-rau ko dur se manzil samajh baiThe the hum
bahr-e-gham mein mauj ko sahil samajh baiThe the hum
ab to har pechidgi apni samajh mein aa gai
warna har aasan ko mushkil samajh baiThe the hum
is mein rahbar ki nahin thi balki apni bhul thi
ya'ni ek nadan ko 'aqil samajh baiThe the hum
har nai KHwahish ko samjhe the muqaddas tishnagi
har dhaDakti chiz ko kyon dil samajh baiThe the hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.