rah zid ki na iKHtiyar karo
raah zid kī na iḳhtiyār karo
sachchī bātoñ pe e.atibār karo
apne bal par karo jo karnā ho
kyoñ kisī par tum inhisār karo
mushkileñ zindagī meñ aatī haiñ
ġham se ḳhud ko na ham-kanār karo
har vajūd-e-bashar ghuTan meñ hai
kuchh fazāoñ ko ḳhush-gavār karo
izzat-o-qadr paañv chūmegī
apne aḳhlāq ustuvār karo
dāstāñ hai abhī tavīl bahut
jaao ghar kal kā intizār karo
fā.eda bhī hai is se kyā 'anjum'
mere zaḳhmoñ ko mat shumār karo
rah zid ki na iKHtiyar karo
sachchi baaton pe eatibar karo
apne bal par karo jo karna ho
kyon kisi par tum inhisar karo
mushkilen zindagi mein aati hain
gham se KHud ko na ham-kanar karo
har wajud-e-bashar ghuTan mein hai
kuchh fazaon ko KHush-gawar karo
izzat-o-qadr panw chumegi
apne aKHlaq ustuwar karo
dastan hai abhi tawil bahut
jao ghar kal ka intizar karo
faeda bhi hai is se kya 'anjum'
mere zaKHmon ko mat shumar karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.