Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rahat-e-kaunain wasl-e-jism-o-jaan samjha tha main

Jagdish Sahay Saxena

rahat-e-kaunain wasl-e-jism-o-jaan samjha tha main

Jagdish Sahay Saxena

MORE BYJagdish Sahay Saxena

    rāhat-e-kaunain vasl-e-jism-o-jāñ samjhā thā maiñ

    zindagī ko suud marne ko ziyāñ samjhā thā meñ

    ik jamāl-e-ġhair-fānī vo detī thī ḳhabar

    apnī hastī ko faqat vahm-o-gumāñ samjhā thā maiñ

    dāġh-e-dil ko dekh kar sharmā ga.e jannat ke phuul

    haif us ko ik matā-e-rā.egāñ samjhā thā meñ

    us ke andāz-e-bayāñ par guftugū qurbāñ huī

    apnī ḳhāmoshī ko yā-rab be-zabāñ samjhā thā maiñ

    kuchh bagūle raqs karte aa.e sahrā meñ nazar

    gard ko un ġhubār-e-kārvāñ samjhā thā maiñ

    phuul thā ḳhūnīñ-jigar kāvish se nok-e-ḳhār

    us ko ik jām-e-sharāb-e-arġhavāñ samjhā thā maiñ

    umr bhar khātā rahā afsos daulat fareb

    jism ke ārām ko ārām-e-jāñ samjhā thā maiñ

    shiddat-e-ranj-o-alam thī zāmin-e-lutf-e-hayāt

    vaa.e nādānī ki us ko jāñ-sitāñ samjhā thā maiñ

    rahat-e-kaunain wasl-e-jism-o-jaan samjha tha main

    zindagi ko sud marne ko ziyan samjha tha mein

    ek jamal-e-ghair-fani ki wo deti thi KHabar

    apni hasti ko faqat wahm-o-guman samjha tha main

    dagh-e-dil ko dekh kar sharma gae jannat ke phul

    haif us ko ek mata-e-raegan samjha tha mein

    us ke andaz-e-bayan par guftugu qurban hui

    apni KHamoshi ko ya-rab be-zaban samjha tha main

    kuchh bagule raqs karte aae sahra mein nazar

    gard ko un ki ghubar-e-karwan samjha tha main

    phul tha KHunin-jigar kawish se nok-e-KHar ki

    us ko ek jam-e-sharab-e-arghawan samjha tha main

    umr bhar khata raha afsos daulat ka fareb

    jism ke aaram ko aaram-e-jaan samjha tha main

    shiddat-e-ranj-o-alam thi zamin-e-lutf-e-hayat

    wae nadani ki us ko jaan-sitan samjha tha main

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now