rahat ke sath sath musibat bhi chahiye
rāhat ke saath saath musībat bhī chāhiye
insāñ ko ġham ke saath masarrat bhī chāhiye
raushan karūñgā kaale gharoñ ko maiñ ek din
lekin zarā sā vaqt bhī fursat bhī chāhiye
phirtā huuñ le ke dāman-e-sad-chāk shahr meñ
bad-nāmiyāñ milī haiñ to shohrat bhī chāhiye
kaliyoñ ko gulsitāñ meñ masalnā bajā nahīñ
kāñToñ ko rauñd dene kī 'ādat bhī chāhiye
jhūTī tasalliyoñ kā maiñ qaa.il nahīñ zarā
siine meñ dard dil meñ mohabbat bhī chāhiye
maiñ jāntā huuñ sone ke sikke haiñ tere paas
kuchh tere dil meñ dard kī daulat bhī chāhiye
kab tak suneñge ham gul-o-bulbul kī dāstāñ
'afsar' shu'ūr-o-fikr meñ jiddat bhī chāhiye
rahat ke sath sath musibat bhi chahiye
insan ko gham ke sath masarrat bhi chahiye
raushan karunga kale gharon ko main ek din
lekin zara sa waqt bhi fursat bhi chahiye
phirta hun le ke daman-e-sad-chaak shahr mein
bad-namiyan mili hain to shohrat bhi chahiye
kaliyon ko gulsitan mein masalna baja nahin
kanTon ko raund dene ki 'adat bhi chahiye
jhuTi tasalliyon ka main qail nahin zara
sine mein dard dil mein mohabbat bhi chahiye
main jaanta hun sone ke sikke hain tere pas
kuchh tere dil mein dard ki daulat bhi chahiye
kab tak sunenge hum gul-o-bulbul ki dastan
'afsar' shu'ur-o-fikr mein jiddat bhi chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.