rahat mili sukun mila aagahi mili
rāhat milī sukūn milā āgahī milī
vo kyā mile ki ham ko na.ī zindagī milī
dil kā bujhā charāġh achānak bhaḌak uThā
ik chashm-e-pur-ḳhulūs meñ vo sho.alagī milī
saath un ke zindagī kā safar is tarah kaTā
rāhoñ meñ har qadam pe ḳhushī nāchtī milī
jis meñ rachā huā thā mirā rang-e-ārzū
un ke laboñ pe giit kī vo pankhuḌī milī
shāyad mirī nigāh-e-parastish kā sehr thā
mūrat vo marmarīñ sī mujhe boltī milī
ik māh-vash kā nuur rahā ruuh par muhīt
har raat zindagī kī mujhe chāñdnī milī
badnām ishq meñ na hue ġhair kī tarah
izzat-fazā hayāt hameñ ishq kī milī
dil-bastagī-e-bazm meñ talve jhulas ga.e
sho.aloñ pe raqs kartī hameñ zindagī milī
ik mehrbāñ nazar kī adā-e-latīf se
āvārgī-e-‘rāz’ ko shā.istagī milī
rahat mili sukun mila aagahi mili
wo kya mile ki hum ko nai zindagi mili
dil ka bujha charagh achanak bhaDak uTha
ek chashm-e-pur-KHulus mein wo shoalagi mili
sath un ke zindagi ka safar is tarah kaTa
rahon mein har qadam pe KHushi nachti mili
jis mein racha hua tha mera rang-e-arzu
un ke labon pe git ki wo pankhuDi mili
shayad meri nigah-e-parastish ka sehr tha
murat wo marmarin si mujhe bolti mili
ek mah-wash ka nur raha ruh par muhit
har raat zindagi ki mujhe chandni mili
badnam ishq mein na hue ghair ki tarah
izzat-faza hayat hamein ishq ki mili
dil-bastagi-e-bazm mein talwe jhulas gae
shoalon pe raqs karti hamein zindagi mili
ek mehrban nazar ki ada-e-latif se
aawargi-e-‘raaz’ ko shaistagi mili
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.