rahat o ranj se juda ho kar
rāhat o rañj se judā ho kar
baiTh rahiye kahīñ ḳhudā ho kar
lauT aayā hai aañkh ke dar par
ḳhvāb-e-ta.abīr se rihā ho kar
lutf aayā nazar ko jalne meñ
chāñd ke sāmne diyā ho kar
ai mire sher apnī tābānī
dekh us shoḳh se adā ho kar
habs hotā gayā ḳhumār apnā
rañg uḌte ga.e havā ho kar
ḳhema-e-gul lapeT le hamdam
dekh sarsar chalī sabā ho kar
rahat o ranj se juda ho kar
baiTh rahiye kahin KHuda ho kar
lauT aaya hai aankh ke dar par
KHwab-e-tabir se riha ho kar
lutf aaya nazar ko jalne mein
chand ke samne diya ho kar
ai mere sher apni tabani
dekh us shoKH se ada ho kar
habs hota gaya KHumar apna
rang uDte gae hawa ho kar
KHema-e-gul lapeT le hamdam
dekh sarsar chali saba ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.