rahaton ka meri pata hai ali
rāhatoñ kā mirī patā hai alī
mushkiloñ kā mirī kushā hai alī
saath merā sabhī ne chhoḌ diyā
kaun merā tire sivā hai alī
chāñd taare bhī us kā naam jape
zarre zarre meñ yuuñ basā hai alī
ilm kā rāsta jo pūchhā gayā
tirī jānib chalī 'hinā' hai alī
rahaton ka meri pata hai ali
mushkilon ka meri kusha hai ali
sath mera sabhi ne chhoD diya
kaun mera tere siwa hai ali
chand tare bhi us ka nam jape
zarre zarre mein yun basa hai ali
ilm ka rasta jo puchha gaya
teri jaanib chali 'hina' hai ali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.