rahbar kaun mila kis ka sahaara nikla
rāhbar kaun milā kis kā sahārā niklā
jis taraf bhī ga.e ham shahr tumhārā niklā
Duub jaanā hī muqaddar thā kareñ kis se gila
ham bhañvar meñ rahe sāhil na kinārā niklā
raakh ke Dher meñ gum ho ga.e kitne yaaro
Tapkī shabnam na kahīñ koī sharāra niklā
ham musalsal rahe gardish kī tahoñ ke andar
is jahāñ meñ na koī dost hamārā niklā
kitne aivān mohabbat ke sajā.e phir bhī
makḌiyoñ kā mire alfāz meñ jaalā niklā
kaise suljhā.eñ bhalā mas.ala-e-chāragarī
jis ko bhī dekhā vahī dard kā maarā niklā
jaan dī ham ne 'zafar' sirf taqaddus ke liye
phir bhī tārīḳh meñ kab naam hamārā niklā
rahbar kaun mila kis ka sahaara nikla
jis taraf bhi gae hum shahr tumhaara nikla
Dub jaana hi muqaddar tha karen kis se gila
hum bhanwar mein rahe sahil na kinara nikla
rakh ke Dher mein gum ho gae kitne yaro
Tapki shabnam na kahin koi sharara nikla
hum musalsal rahe gardish ki tahon ke andar
is jahan mein na koi dost hamara nikla
kitne aiwan mohabbat ke sajae phir bhi
makDiyon ka mere alfaz mein jala nikla
kaise suljhaen bhala masala-e-chaaragari
jis ko bhi dekha wahi dard ka mara nikla
jaan di hum ne 'zafar' sirf taqaddus ke liye
phir bhi tariKH mein kab nam hamara nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.